shikayat-e-gham-e-lail-o-nahaar kaise karun main khud ko apni nigahon mein khar kaise karun ye zindagi badi neamat hai manta hun magar ye be-wafa nahin ye eatibar kaise karun tujhe hai naz jafa par mujhe wafa ki talab main apni zat mein tera shumar kaise karun kahin bahaar ke aasar to nazar aaen gareban apna abhi tar tar kaise karun qadam qadam pe yahan nafraton ke dere hain faza-e-sahn-e-chaman khush-gawar kaise karun abhi to dil ko nae ranj-o-gham ki khwahish hai ai zindagi main tujhe lala-zar kaise karun wo be-wafai ka ehsas kar ke 'nadim' hai masarraton se use ham-kanar kaise karun