zahe wahshat ki huzn-e-duri-e-manzil pasand aaya dil-e-iza-talab ko uqda-e-mushkil pasand aaya mere husn-e-nazar ki sharh hoti hai zamane mein ki har ahl-e-tabiat ko mera qatil pasand aaya guhar-yabi ki ek tamhid ho kar rah gaya tufan mujhe jab se firaq-e-ishrat-e-sahil pasand aaya ba-hangam-e-tajassus zindagi se pyar kya mani wo insan kya jise naqsh-e-sar-e-manzil pasand aaya chale aae harim-e-naz se wo khoe khoe se jazak-allah unhen ikhfa-e-haal-e-dil pasand aaya hijab aaya to har jaanib faza badli hui dekhi naqab ulti to rang-e-shorish-e-mahfil pasand aaya kabhi aain-e-gham-khwari-e-dil marghub hai hum ko kabhi tarz-e-sitam-ijadi-e-qatil pasand aaya khuda lagti kaho lillah sadaqat ko na jhutlao tumhein afsana-e-betabi-e-'bismil' pasand aaya