wahi sitara shab-e-gham ka ek sitara hai wo ek sitara jo chashm-e-sahar mein rahta hai khuli faza ka payami hawa ka basi hai kahan wo halqa-e-diwar-o-dar mein rahta hai jo mere honton pe aae to gungunaun use wo sher ban ke bayaz-e-nazar mein rahta hai guzarta waqt mera gham-gusar kya hoga ye khud taaqub-e-sham-o-sahar mein rahta hai mera hi rup hai tu ghaur se agar dekhe bagula sa jo teri rahguzar mein rahta hai na jaane kaun hai jis ki talash mein 'bismil' har ek sans mera ab safar mein rahta hai