zahid bhi meri tarah usi par fida na ho

zahid bhi meri tarah usi par fida na ho
kabe ke parde mein but-e-kafir chhupa na ho

taqdir hai khilaf tumhaari khata nahin
bigdo hamin se aur kisi se khafa na ho

aamin kah rahe hain butan-e-sanam-kada
maqbul bargah-e-khuda kyon dua na ho

badla agar wafa ka jafa ho jahan mein
o na-shanas qadr-e-wafa phir wafa na ho

pa-e-sanam pe sar hai tamanna ye dil mein hai
mere siwa qubul kisi ki dua na ho

ulten to kis ke samne ulten naqab-e-rukh
jab koi un ka dekhne wala raha na ho

qatil ye aarzu tere bismil ke dil mein hai
khanjar hilal ban ke gale se juda na ho

baqi rahe na had koi tere ghurur ki
o bewafa jo husn tera bewafa na ho

sajda karen hum us but-e-kafir ko dair mein
kuchh be-khudi-e-ishq mein khauf-e-khuda na ho

apna khiram-e-naz abas dekhte ho tum
dekho mera nishan-e-lahad mit gaya na ho

zahid haram se lae tujhe kaun khinch kar
gar but-kade mein jalwa-e-shan-e-khuda na ho

marne ke baad un ki haya hum se kam hui
wo kah rahe hain ruthne wale khafa na ho

ranjida ho ke dar se jo uthta hun kahte hain
duniya mein zindagi se koi yun khafa na ho

aate ho tum jo roz ayaadat ke waste
maqsud is se ye hai ki mujh ko shifa na ho

saqi-e-pak-dil hamein aata nahin maza
jab tak sharik-e-daur koi parsa na ho

wo hukm de chuke hain ki ab un ki bazm mein
duniya ki guftugu ho mera tazkira na ho

qadmon pe sar jhukae badi der ho gai
bahen gale mein dal bhi do ab khafa na ho

saqi pila khuda ke liye aaj raat bhar
is ki to kuchh khabar nahin kal kya ho kya na ho

'naushad' wo jo naz se aaen to dekhna
jis ka qaza hai nam wo un ki ada na ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close