yun tadapte hue 'naushad' watan se nikle jis tarah bulbul-e-betab chaman se nikle wae qismat ki hua dil na shagufta shab-e-wasl hae arman na us ghuncha-dahan se nikle waqt-e-rukhsat main kahun kya jo mera haal hua ashk jab dida-e-ahbab-e-watan se nikle bagh mein surat-e-nikhat the tere hum wahshi mausam-e-gul idhar aaya ki chaman se nikle falak-e-tafraqa-andaz ne rahne na diya hausle kuchh bhi na yaran-e-watan se nikle dil jo 'naushad' lagao to kisi gul-ru se jaan nikle to gham-e-ghuncha-dahan se nikle