zahid is rah na aa mast hain mai-khwar kai abhi yan chhin liye jubba-o-dastar kai sang-dil kun na kisi ki hui afsos khabar mar gae sar kun patak kar pas-e-diwar kai na-tawan mujh sa bhala kaun hai insaf to kar chashm-e-fattan ke tere garche hain bimar kai dil ki betabi se aur chashm ki be-khwabi se nazar aane lage ab ishq ke aasar kai jun hi wo hosh-ruba aa ke numudar hua naqsh-e-diwar hue talib-e-didar kai abru-o-chashm-o-nigah-o-mizha har ek khun-khwar ek dil hai mera tis par hain dil-azar kai ai masiha-e-zaman dekh tuk aa kar ahwal ki teri chashm ke yan marte hain bimar kai khinch mat zor se shane ko tu ai mashshata dil hain us zulf ke baalon mein giraftar kai kaf-e-pa hain tere sahra ki nishani 'bedar' mar gaya to bhi phaphulon mein rahe khar kai