zahid teri nigah khuda-ashna nahin tu jaanta zarur hai pahchanta nahin jangal ke phul se hai ibarat mera nasib wo naw hun ki jis ka koi nakhuda nahin kya jaane kaise shahr-e-khamoshan ke log hain aawaz de raha hun koi bolta nahin hairat hai jis ka taj-mahal pesh-e-lafz hai logon ne us kitab ko ab tak padha nahin le aai hai mohabbat-e-insan mujhe wahan jis raste mein aur koi naqsh-e-pa nahin kya hoga is safine ka anjam ai 'nihaal' tufan se khelne ka jise hausla nahin