bujha bujha sa charagh-e-sar-e-mazar hun mein khizan ne jis ko sanwara hai wo bahaar hun main wo jis pe ghair bhi rote hain aath aath aansu wo ek mahfil-e-mazi ki yaadgar hun main jo tere daman-e-rahmat ki aabru rakh le mere karim wahi ek gunahgar hun main nigah ho to zara dekh aalam-e-takhrib ajal ki god mein qudrat ka shahkar hun main hansa hansa ke rulaya gaya hun sari umr sitam-zarifi-e-fitrat ka shahkar hun main na puchh aah-e-mohabbat ki zindagi 'raushan' khizan ki shakl mein parwarda-e-bahaar hun main