zahir tu hai to main nihan hun baatin tu hai to main ayan hun tu hi zahir hai tu hi baatin tu hi tu hai to main kahan hun tere hote kahin nahin main awwal aakhir na darmiyan hun tu tu main main ne mar dala dam band hai kijiye na han hun main hi laila hun main hi mahmil naqa bhi hun main hi sarban hun hun kunj-e-qafas mein band lekin bairun-e-zamin-o-asman hun dariya ki tarah rawan hun lekin ab tak bhi wahin hun main jahan hun juz nam nahin nishan mera sach-much main bahr-e-be-karan hun