zahiran shad hun farhan hun hamesha ki tarah baatinan zar-o-pareshan hun hamesha ki tarah dil mera barg-e-khizan-dida ki manind sahi main parastar-e-bahaaran hun hamesha ki tarah meri aaankhon mein kisi ne nahin dekhe aansu phir bhi ye sach hai ki giryan hun hamesha ki tarah rawish-e-dahr se ranjida hun bezar nahin rawish-e-dahr pe khandan hun hamesha ki tarah jaan kar bhi ki tera qurb hai ab na-mumkin main tere qurb ka khwahan hun hamesha ki tarah mujh se hai un ki wahi be-rukhi-o-be-mehri main wahi banda-e-yaran hun hamesha ki tarah mere anfas ki lau se nahin mahfil raushan ek charagh-e-tah-e-daman hun hamesha ki tarah meri masti pe na kuchh aur guman ho yaro saz-e-dil hi pe to raqsan hun hamesha ki tarah sar uthae na watan mein kahin mazhab ka junun isi andeshe se larzan hun hamesha ki tarah mujh ko aqdar-e-adab jaan se badh kar hain aziz hurmat-e-fan ka nigahban hun hamesha ki tarah muztarib dida-o-dil zehn hai uljha uljha husn se talib-e-darman hun hamesha ki tarah aalimon aur adibon se hai milna-julna ahl-e-daulat se gurezan hun hamesha ki tarah mere ausaf se hoti nahin pahchan meri apne aibon se numayan hun hamesha ki tarah inqilabaat ke aahang hain mere naghme barq hun aandhi hun tufan hun hamesha ki tarah ho ke begana-e-alam zamana maghmum main ghazal-khwan hun ghazal-khwan hun hamesha ki tarah