zahr-e-gham be-maza nahin hota phir bhi kyon hausla nahin hota dekh leta hai mujh mein aks apna aur wo khud aaina nahin hota sare rishte charagh jalne tak phir koi aashna nahin hota maslahat ban gai hai mohr-e-sukut ab koi lab-kusha nahin hota lab na kholo ki log kahte hain is zamane mein kya nahin hota kya hanse koi muskurae kya raqs-e-gul be-saba nahin hota kya kahen waqt ki kaman ko 'ayaz' tir koi khata nahin hota