na de tabib dawa dard mein kami ke liye ki dil ka rog zaruri hai zindagi ke liye rah-e-hayat mein thokar na ab lagegi tumhein ki zakhm-e-dil hain mere sab ki raushni ke liye thi us ke jism pe bosida be-kasi ki rida magar wo mang raha tha dua sabhi ke liye main manta hun ki nikla hai sach ki khoj mein wo magar ye kaam nahin sahl har kisi ke liye meri zaban pe kab tak lagaega pahra zamir bech raha hai jo bartari ke liye talash karta hai dariya tu reg-zaron mein ye khud-kushi ka hai andaz tishnagi ke liye lagate khub ho misra magar 'alim' suno aruz jaanna lazim hai shairi ke liye