zahr-e-shab viran bistar ai khuda karb ek manzar-ba-manzar ai khuda main tere shahin ka 'shahpar' ai khuda kaun hai mere barabar ai khuda kash tu bhi mujh mein aa kar dekhta dubte suraj ka manzar ai khuda dosti aur dushmani ke nam se qaid hun kis kis ke andar ai khuda zer kuchh baune mujhe kaise karen in haqiron ki madad kar ai khuda bich mein masum sa ek aadmi har taraf sanpon ke lashkar ai khuda