zahr ki chuTki hi mil jae barae dard-e-dil

zahr ki chutki hi mil jae barae dard-e-dil
kuchh na kuchh to chahiye baba dawa-e-dard-e-dil

raat ko aaram se hun main na din ko chain se
hae hae wahshat-e-dil hae hae dard-e-dil

dard-e-dil ne to hamein behaal kar ke rakh diya
kash koi aur gham hota bajae dard-e-dil

us ne hum se khairiyat puchhi to hum chup ho gae
koi lafzon mein bhala kaise batae dard-e-dil

do balaen aaj kal apni sharik-e-haal hain
ek bala-e-dard-e-duniya ek bala-e-dard-e-dil

zindagi mein har tarah ke log milte hain 'shuur'
aashna-e-dard-e-dil na-ashna-e-dard-e-dil


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close