zahr par zahr chal nahin sakta sanp bichchhu nigal nahin sakta tajraba lakh kijiye is par phir bhi patthar pighal nahin sakta bhul baithunga tujh ko jite ji main to itna badal nahin sakta ghair ki tang khinch kar bhai koi aage nikal nahin sakta us ki marzi agar nahin hogi girne wala sambhal nahin sakta noch sakta hai wo hamara par azm lekin kuchal nahin sakta