allah ke bhi ghar se hai ku-e-butan aziz kabe se bhi ziyaada hai hindostan aziz ye musht-e-khak ho kahin maqbul-e-bargah mitti hamari kar bhi chuke aasman aziz shikwe ki ja-e-ghair se baqi nahin rahi dushman se bhi ziyaada hain khuban-e-jaan aziz hasti adam se lai hai kis mulk-e-ghair mein koi na aashna hai hamara na yan aziz ai 'rind' apne ahd mein qadr-e-sukhan nahin har asr mein wagarna the ahl-e-zaban aziz