zahrab pine wale amar ho ke rah gae

zahrab pine wale amar ho ke rah gae
naisan ke chand qatre guhar ho ke rah gae

ahl-e-junun wo kya hue jin ke baghair hum
ahl-e-khirad ke dast-e-nigar ho ke rah gae

sahra gae to shahr mein ek shor mach gaya
jab laut aae shahr-badar ho ke rah gae

ummid ke hababon pe ugte rahe mahal
jhonka sa ek aaya khandar ho ke rah gae

rahon pe daudte rahe aatish ba-zer-pa
manzil mili to khak-basar ho ke rah gae

aawaragard misl bagulon ke hum rahe
baithe to gard-e-rahguzar ho ke rah gae

badhte rahe sarabon pe manind-e-tishnagi
pani mila to khushk shajar ho ke rah gae

nazren talash-e-husn mein ja pahunchin ta ufuq
jalwe tamam hadd-e-nazar ho ke rah gae

pabandiyon mein the to dikhate the mojaze
aazadiyon mein shobada-gar ho ke rah gae

dhaale gae to pattharon se phut nikle rag
tode gae to raqs-e-sharar ho ke rah gae

chang o rabab mein rahe manind-e-naghmagi
tegh o sinan mein sina sipar ho ke rah gae

munh jitne utni baaten kahi ja rahi hain aaj
yun mushtahar hue ki khabar ho ke rah gae

'wamiq' do-dhaari tegh hai wo lahja-e-jadid
naghme tamam khun mein tar ho ke rah gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close