zakhm bhi taza tha aur us pe hawa bhi taza dil ne rakkha tha magar rakhsh-e-dua bhi taza tar-ba-tar hai mere hathon mein wahi jamuni rang tum ne puchha tha ki hoti hai ghata bhi taza ab talak hai wahi jalta hua sahra wahi main ab talak hai tapish-e-shauq-e-nida bhi taza kis bahane se tujhe bhul rahun aur khush hun phir bana lega ye dil ek khuda bhi taza kis bahane se main jagun tujhe dhundun ab ke ab to is sahn mein thahre na hawa bhi taza aaina mangta rahta hai wahi aks tera aankh rakhti hai tera rang-e-qaba bhi taza bas bahut hausla rakhne ki kahani kah li raat ko phul masalti hai hawa bhi taza