udas raat ka dukh jaanta koi bhi na tha meri tarah use pahchanta koi bhi na tha sab apne qad ko sanobar samajh rahe the wahan mere wajud ko gardanta koi bhi na tha wo jis ki lash sadak par padi hui thi kal us ek shakhs ko pahchanta koi bhi na tha sab apni dhun mein magan apni fikr mein gum the nasihaton ko meri manta koi bhi na tha main ajnabi tha wahan sab ke waste 'asad' tere nagar mein mujhe jaanta koi bhi na tha