zakhm dekhe na mere zakhm ki shiddat dekhe dekhne wala meri aankhon ki hairat dekhe mujh pe aasan hai kahe lafz ka ifa karna us ko mushkil hai to wo apni suhulat dekhe dil liye jata hai phir ku-e-malamat ki taraf aankh ko chahiye phir khwab-e-hazimat dekhe koi surat ho ki inkar se pahle aa kar kis qadar us ki yahan par hai zarurat dekhe dil tazabzub mein hi rahta hai ba-waqt-e-paiman lafz dekhe ki rukh-e-yar ki rangat dekhe aankh bhar jati hai is kasrat-e-nazzara se dil to har shakl mein bas ek shabahat dekhe