hamari fikr bhi khasta hamare kar ghalat hamari jast ne bakhsha hamein hisar ghalat kahin ye qalb-e-hawadis ki tab la na sake kahin ye dil hi na le le koi qarar ghalat ye mera dil hai tamannaen pal leta hai hua hai is pe bhi saya koi sawar ghalat mujhe yaqin hai na aaenge meri turbat par bara-e-fatiha chuniyega kab mazar ghalat ye kis ne abru-e-khamdar se mujhe dekha kahan se aa gai haq mein mere bahaar ghalat mere nasib ke qausain ne diya tohfa kabhi to lail-e-musalsal kabhi nahaar ghalat main apni auj ka tum ko hisab kya deta meri lakir thi uljhi mera madar ghalat main apne zakhm-e-jigar soz-o-saz kyun likkhun hazar bar gina phir bhi hai shumar ghalat