zaKHm dil ka har-nafas zaKHm-e-ana hota gaya

zakhm dil ka har-nafas zakhm-e-ana hota gaya
hadsa-dar-hadsa-dar-hadsa hota gaya

aable panw ke rahon mein the itne dil-shikan
lamha lamha rakht-e-dil zanjir-e-pa hota gaya

muzmahil the hum bhi yaro ye tamasha dekh kar
aks aaine se takra kar juda hota gaya

subh ke chehre se lipti dhund ki afsurdagi
sham ka thithura badan jab be-rida hota gaya

nala-o-fariyaad se gunjin fazaen chaar-su
manzar-e-khamosh bhi harf-e-sada hota gaya

dil ke darwaze pe aakar kis ne dastak di 'zafar'
aahaton ke dard se main aashna hota gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close