zamin pe munkashif hoga jo aasman mein hai

zamin pe munkashif hoga jo aasman mein hai
parinda meri dua ka abhi udan mein hai

butan-e-azari sajde mein gir padenge sabhi
ye zarb-e-la-ilah jab tak teri azan mein hai

talab ki khwahishen jis samt chahe le jaen
ki hausla abhi baqi meri takan mein hai

dariche sard hawaon ke khol de koi
bahut ghutan mere tute hue makan mein hai

zaruri hai rag-e-baatil ko katne ke liye
bacha ke rakhna abhi tir jo kaman mein hai

teri dua ne badal din jahan ki taqdiren
asar wo ab kahan momin teri zaban mein hai

khamoshiyon se ulajhna nahin mera shewa
wahi kahunga jo ab tak mere guman mein hai

faza jahan ki mukaddar hai jis taraf jao
har ek shakhs kahan gosha-e-aman mein hai

mera zamir khataon ka murtakib hai 'zafar'
ye baat roz-e-azal se kisi bayan mein hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close