zakhm-e-dil achchha hua pahlu badal jaane ke baad dil ki dhadkan mit gai aansu nikal jaane ke baad wada-e-rangin se hoga hae kya khak ehtimam aarzu ke phul chutki se masal jaane ke baad kya karen khun-e-tarab ki surkhi-e-afsana ko rang-o-bu ki raegan ghadiyon ke tal jaane ke baad mai undeli bhi jo minaon mein saqi ne to kab shisha-ha-e-rang se mausam nikal jaane ke baad dhundte phirte hain khud dair-o-haram ke pasban hosh-mandan-e-khirad ka dam nikal jaane ke baad kaun afsurda jawani ko jila dega 'khizar' ahd-e-naw-nosh ki shamen pighal jaane ke baad