koi to kaam achchha rah gaya hai hamein bas yaad itna rah gaya hai hamein dhona hai lashon ko musalsal yahi ek kaam apna rah gaya hai mohabbat kam murawwat hai ziyaada wahan bas aana-jaana rah gaya hai jo hai sab kuchh palat sakta hai pal mein kisi ka ek ishaara rah gaya hai bahut kuchh kaam hum sab kar chuke hain dilon mein ghar banana rah gaya hai sabhi aise tamashe ho chuke hain bas ek waisa tamasha rah gaya hai bahut takhir se hum ne ye jaana zamin par kaam kaisa rah gaya hai alamat ki zarurat thi jahan par wahan bas istiara rah gaya hai zamin ko aasman kaise banate tasawwur hi mein naqsha rah gaya hai hamari aakhiri khwahish na puchho kisi ko kya batana rah gaya hai