zakhm-e-dil ho agar hara rakhna husn walon se fasla rakhna dosti pyar mein badal jae milne-julne ka silsila rakhna zindagi ki duaen yun dena zahr ke sath hi dawa rakhna dur jaana hai to chale jao laut aane ka rasta rakhna jit jaane ka shauq hai tum ko haarne ka bhi hausla rakhna rasta jo bhi ikhtiyar karo apni manzil ko aaina rakhna har kisi mein hunar nahin hota apne lahje mein ek ada rakhna chahte ho jo pyar apno se dur rishton se tum ana rakhna shor barpa hai dil ke 'sagar' mein aaj mushkil hai gham chhupa rakhna