nazar ko hamil-e-barq-e-jamal kar na saka ghurur-e-husn ko main paemal kar na saka wo aane wale zamane ko kya banega jo aaj tak mere mazi ko haal kar na saka shikast-e-dil ka mere raaz aap kya jaanen malal hi na hua ya malal kar na saka mujhe latif sitam se karam ke pardon mein kuchh us ne aise mitaya malal kar na saka hujum-e-gham raha 'nakhshab' magar main apne liye sharab-o-shahid-o-naghma halal kar na saka