zakhm-e-dil hum dikha nahin sakte dil kisi ka dukha nahin sakte wo yahan tak jo aa nahin sakte kya mujhe bhi bula nahin sakte wada bhi hai to hai qayamat ka jis ko hum aazma nahin sakte aap bhi bahr-e-ashk hain goya aag dil ki bujha nahin sakte un se ummid-e-wasl ai tauba wo to surat dikha nahin sakte un ko ghunghat uthane mein kya uzr hosh mein hum jo aa nahin sakte mangte maut ki dua lekin hath dil se utha nahin sakte un ko dawa-e-yusufi 'asi' khwab mein bhi jo aa nahin sakte