muddaton mein ghar hamare aaj yar aa hi gaya zulm karta tha magar zalim ko pyar aa hi gaya hijr ki raaten katin tare gine jaga kiye wasl ke lamhe mile aakhir qarar aa hi gaya wahm the meri taraf se bad-gumani thi unhen meri fitrat dekh ke ab e'tibar aa hi gaya main ne mana aarzi hain wasl ki ghadiyan magar chand lamhon ke liye daur-e-bahaar aa hi gaya hum ko pine se gharaz kya ye sharab-e-zahiri in ki nazren jab uthin mujh ko khumar aa hi gaya ai 'nizami' dafatan un ki nigahen uth gain pyar wo karte na the be-ikhtiyar aa hi gaya