zakhm-e-dil zakhm-e-zaban sab sah gae waqt ke mare hue chup rah gae aap ki dariya-dili bhi dekh li kitne dariya aansuon mein bah gae de rahe the be-amal dars-e-amal hum bhi sab sun kar samajh kar rah gae be-zabani bhi zaban ban kar rahi kuchh na kahna tha magar kuchh kah gae harf-e-haq bardasht ke qabil na tha kitni choten thin jo nahaq sah gae ghaflat-e-imroz ke sailab mein kal ke sare karname bah gae 'najm' hum nikle jo arz-e-taj se khusraw-e-be-taj ho kar rah gae