tabassum ho ki aansu chashm-e-tar mein hamin hum hain zamane ki nazar mein jahan wusat hui fikr-o-nazar mein badhe kuchh aur aansu chashm-e-tar mein mohabbat ke jahan mabad bane hain hamara khun hai diwar-o-dar mein ghurur-e-karwan se koi kah de bahut mare pade hain rahguzar mein khabar kya khana-barbaadon ki tum ko khudai hai khudawandi hai ghar mein shab-e-gham rang lai jate jate laga di aag daman-e-sahar mein jafa ho apni had par ya wafa ho bahut kam hai mohabbat ki nazar mein ajal aane se pahle kuchh na samjhe bahut kuchh tha hayat-e-mukhtasar mein