zaKHm-e-hijran ki mudawat se pahle pahle

zakhm-e-hijran ki mudawat se pahle pahle
dard raqsan hai mulaqat se pahle pahle

qaid-e-zindan ho ya ho faisla sarkubi ka
lazima sochiye haq baat se pahle pahle

kash wo aaj palat aae kisi bhi surat
chandni raat ki barsat se pahle pahle

rah se bhatki nai nasl bachani hai hamein
mumkina aamad-e-afat se pahle pahle

kaise mahfuz rakha jaega tufan mein shajar
koi tadbir ho samraat se pahle pahle

sochiye qaum ko bharpai na karni pad jae
waqt be-waqt ke jazbaat se pahle pahle

dar nahin lazmi buniyaad ki mazbuti hai
aane wale bure haalat se pahle pahle

log khush hon ki na hon rab to ho raazi 'asad'
zist ke aakhri lamhat se pahle pahle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close