zakhm-e-paikan-e-sitam laeq-e-izhaar nahin hum ko manzur ilaj-e-dil-e-bimar nahin dil mera dekh ke kahte hain ki darkar nahin ye bhi ek husn-e-talab hai ki talabgar nahin ek wafa hai ki unhen yaad dilati hai meri ek yahi baat hai jis se unhen inkar nahin mail-e-shauq-e-asiri hai rihai kya hai wo bhi aazad nahin hai jo giraftar nahin be-niyazi ki ajab shan hai allah allah us ki duniya hai jo duniya ka talabgar nahin qaid-e-hasti se riha hota hai tera wahshi sans zanjir hai us ka bhi rawadar nahin aatish-e-ishq mein jalne ko hua hun paida ek zarra bhi meri khak ka bekar nahin chashm-e-saqi ke ishaaron pe nigahen rakkhe mai-kade walon mein itna koi hushiyar nahin band ki aankh to phir hum hain na duniya hai 'shamim' safar-e-manzil-e-hasti koi dushwar nahin