pabandi-e-rahat mujhe manzur nahin hai main khush hun ki fitrat meri majbur nahin hai baalin pe ziya-e-rukh-e-pur-e-nur nahin hai ab koi ilaj-e-dil-e-ranjur nahin hai ab koi jagah husn se mamur nahin hai is dil ke siwa aur koi tur nahin hai karna jo pade minnat-e-aghyar ajab kya ye bhi meri taqdir se kuchh dur nahin hai main ne jo kaha jita hun ummid-e-wafa par farmaya zamane ka ye dastur nahin hai marne ki tamanna ho ki jine ki ho khwahish ek baat bhi meri nahin manzur nahin hai hum dair se hote hue ai shaikh chalenge is rah se kaba bhi koi dur nahin hai o but tera patthar ka kaleja bhi ho pani allah ki qudrat se ye kuchh dur nahin hai paimana bhare deti hain saqi ki nigahen wo aankh nahin aaj jo makhmur nahin hai kya roz dikhata hai na jaane ye dil-e-zar ab tak to 'shamim' aap ka mashhur nahin hai