zakhm gahre the bhala kaise mudawa karte kuchh na hota jo agar khud ka tamasha karte jhut hi hota magar khwab to hota koi wo hamara hai sar-e-rah dikhawa karte baat be-baat wo rakkhe to bharam chahat ka hum bhi khamosh koi tark-e-tamanna karte meri in aankhon mein jugnu se chamakte hain kai khwab aate hain mera nind mein pichha karte hum se ta-umr lipat jae to aaram mile hum bhi har waqt use pyar se dekha karte sher kahte hain to jine ka shuur aata hai gar na kahte to bhala kaise guzara karte