zakhm hai aur namak fishani hai dosti dushmani-e-jaani hai naqsh-e-awwal hai chehra-e-yusuf aur tera chehra naqsh-e-sani hai tere kuche se mane-e-raftar hum ko apni hi na-tawani hai husn mein chehra us gul-e-tar ka naqsh-e-rangin-e-kilk-e-mani hai us pe parwane go hujum karen shama ki wo hi kam-zabani hai is sara mein sabhi musafir hain yani jo hai so karwani hai aalam us ki safa ka mujh se na puchh nazm mein teri jo rawani hai 'mushafi' sher-e-sada kahne mein waqt ka apne to fughani hai