qabu khizan se zoaf ka gulshan main ban gaya dosh-e-hawa pe rang-e-gul-o-yasaman gaya bargashta-bakht dekh ki qasid safar se main bheja tha us ke pas so mere watan gaya khatir-nishan ai said-fagan hogi kab teri tiron ke mare mera kaleja to chhan gaya yaadash-ba-khair dasht mein manind-e-ankabut daman ke apne tar jo kharon pe tan gaya mara tha kis libas mein uryani ne mujhe jis se tah-e-zamin bhi main be-kafan gaya aai agar bahaar to ab hum ko kya saba hum se to aashiyan bhi gaya aur chaman gaya sarsabz mulk-e-hind mein aisa hua ki 'mir' ye rekhta likha hua tera dakan gaya