zaKHm hai sina abhi talwar hai ehsas abhi

zakhm hai sina abhi talwar hai ehsas abhi
kuchh na kuchh jine ka sarmaya hai mere pas abhi

sans roke sun raha hai waqt un ka faisla
uthti jhukti wo nigahen aas abhi hain yas abhi

barf ki sil hai kabhi dil aur kabhi shoale ki lau
is bayaban ko koi mausam na aaya ras abhi

had se badh jae to phir dariya ki kuchh hasti nahin
sahil-e-mamnua par dam todti hai pyas abhi

shahr-e-jaan teri taraf ab bhi khincha jata hai dil
teri galiyon mein hai agle daur ki bu-bas abhi

gunjti hai dil mein ab bhi koi gum-gashta sada
hum ko 'qaisi' hai shikast-e-arzu ka pas abhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close