zakhm har ek bhar jata hai waqt sahi jab aata hai suraj chhup jaane ke baad ek jugnun sharmata hai karta hai jannat jannat dharti par mar jata hai ab to sirf andhera hi rah hamein dikhlata hai koi puchhe mujh se bhi mujh ko bhi kuchh bhata hai jab se tuta darwaza har koi aata jata hai