zakhm hi zakhm hain dil par kabhi aisa to na tha karam-e-yar ka nashtar kabhi aisa to na tha phul jo mujh ko diye ban gae wo angare waqt ayyar-o-sitamgar kabhi aisa to na tha bastiyan raaz ki ashkon mein bahi jati hain maujzan gham ka samundar kabhi aisa to na tha aaj dast-e-talab utthe to qalam ho jae daur-e-mahrumi-e-saghar kabhi aisa to na tha aane wale nahin jab wo to ye raunaq kaisi aaj jaisa hai mera ghar kabhi aisa to na tha chhin gai ho na tajalli kahin diwaron se shor maikhane ke bahar kabhi aisa to na tha panw rakkha tha jahan sarw mein kham hai ab tak jada-e-ishq mein patthar kabhi aisa to na tha