jis taraf haal-e-junun mein tere diwane gae pichhe pichhe pairwi mein sare farzane gae imtihan ka waqt hai aao madad ke waste phir na kahna hum ghalat nazron se pahchane gae shaikh-sahab apni izzat aap apne hath hai mahfil-e-rindan mein kyun phir waz farmane gae dekhiye is tarah paiman-e-wafa pura hua shama jab raushan hui marne ko parwane gae bulbul-o-gul ki kashish aur dast-e-gul-chin se gila kya wo samjhe jo chaman se su-e-virane gae wo chaman mein kya gae goya bahaaren aa gain hum jidhar jaane lage hain sath virane gae zabt ne dekha hai aisa waqt bhi gulshan mein jab dad-khwahi ke liye gulchin se gul-khane gae