zakhm ke phul se taskin talab karti hai baz auqat meri ruh ghazab karti hai jo teri zulf se utre hon mere aangan mein chandni aise andheron ka adab karti hai apne insaf ki zanjir na dekho ki yahan muflisi zehn ki fariyaad bhi kab karti hai sehn-e-gulshan mein hawaon ki sada ghaur se sun har kali matam-e-sad-jashn-e-tarab karti hai sirf din dhalne pe mauquf nahin hai 'mohsin' zindagi zulf ke sae mein bhi shab karti hai