sahar se ek kiran ki faqat talab thi mujhe tamam raat magar bekali ghazab thi mujhe kanar-e-sham pe surkhi shafaq ki daud gai lahu ugalne ki yun aarzu bhi kab thi mujhe pate ki ek na kahi subh ke ujalon mein ye aur baat ki azbar hadis-e-shab thi mujhe main teri ruh ki pahnai mein utar na saka ki tujh se sirf tamanna-e-lab-ba-lab thi mujhe main khud hi bazm bhi aur khud hi bazm-ara bhi ki nagawar har ek mahfil-e-tarab thi mujhe main apne waqt ka suqraat to nahin lekin jahan pe baat chhidi phir wahin pe shab thi mujhe main apni zat ke andar kabhi na jhank saka ye aur baat ki ye aarzu bhi kab thi mujhe fasil-e-shab se koi ab pukarta hai to kya mila na ek bhi us din talash jab thi mujhe shikayat-e-shab-e-hijran kabhi na ki 'mohsin' hikayat-e-gham-e-dil warna yaad sab thi mujhe