zaKHm kuchh aise de ke gaya darai ka karb

zakhm kuchh aise de ke gaya darai ka karb
bhog raha hun muddat se tanhai ka karb

ye to surkh sulagta suraj hi jaane hai
kitna bhayanak hota hai tanhai ka karb

tez hawa mein tali bajaane wale patto
banjh na kar de pedon ko shahnai ka karb

zehn ka mere roz badal deta hai mausam
sham dhale saundha saundha angnai ka karb

rah ja kar be-chehra logon ki basti mein
maskh-shuda aankhon mein rakh binai ka karb

tod raha hai kyun mutahayyar aaine 'aslam'
ghaur-talab hai teri khud-arai ka karb


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close