nazar ka fikr ka fan ka ayagh raushan kar charagh baad mein pahle dimagh raushan kar zamane bhar ke sabhi raaz khul hi jaenge abhi to jada-e-dil ka suragh raushan kar ye shamen kaam nahin aatin razm-gahon mein yahan to apne lahu ke charagh raushan kar ghane andhere mein dubi hai kaenat teri zamin pe la ke falak ke charagh raushan kar yahi to zist ka sarmaya hain ujal inhen yahi hain umr ka hasil ye dagh raushan kar