zakhm likkhun ki majra likkhun yaad aaya hai wo to kya likkhun hausla zindagi ka kya likkhun bhul jaane ka marhala likkhun shiddat-e-ishq ka taqaza hai qurbaton ko bhi fasla likkhun us ki hamrahi ko bayan karun ya kisi khak se hawa likkhun dil ki khwahish hai us ke chehre par apni tanhai ki dua likkhun ek diye ki muzahimat dekhun ya hawaon ka faisla likkhun khwahishon ke hujum ko 'adil' us ke raste ka qafila likkhun