ye daur wo hai ki jis ka nasab nahin koi udas hun to bahut hun sabab nahin koi wo jis mein yaadon ke raushan charagh jalte hain bahut si raaten hain lekin wo sab nahin koi gawah tha jo hamari tumhaari chahat ka shajar wo ab bhi wahan hai aur ab nahin koi isi umid pe raushan hai khwahishon ka nagar wo aa bhi jae palat kar ajab nahin koi use suna hai ki ab zindagi mubarak hai hamein bhi sare jahan se talab nahin koi