zakhm mahke hain gul-rukhon ki tarah hum bhi zinda hain hasraton ki tarah tum ko khushbu bana ke chhodenge hum mein bu-bas hai gulon ki tarah kitne chehre lagae phirte hain aaj insan rawanon ki tarah roz aab-e-hayat pita hun roz marta hun main gulon ki tarah jis ko pala wahi to zehn hum ko dasta rahta hai naginon ki tarah tapta rahta hun ret ke manind koi barse to baadalon ki tarah ab kahan jaen kis tarah jaen dard phaila hai raston ki tarah is girani ke daur mein 'anjum' apne sine hain maqbaron ki tarah