zaKHm par phunk bhi dawa jaisi

zakhm par phunk bhi dawa jaisi
man ki har baat hai dua jaisi

muddaton se safar mein hun phir bhi
intiha kyon hai ibtida jaisi

chhoti duniya ki ye badi khabren
tez raftar hain hawa jaisi

meri hamrah ban ke chalti hain
mushkilen to hain dilruba jaisi

jab bhi bhatka tera khayal aaya
teri yaaden hain naqsh-e-pa jaisi

un ki ye mehrbaniyan hum par
dhup ke shahr mein ghata jaisi

ajnabi shahr ne diye 'sabir'
din kada raat karbala jaisi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close