karan karan nazar mein meri har taraf sahab tha zamin rahi ye tishna-lab kahin magar na aab tha badal chuke hain sab mere dil-o-nazar ke zawiye nazar padi thi us ki ek ajib inqalab tha ki naqsh dil pe ho gai hai qurbaton ki dastan mahak rahi hai yasmin khila hua gulab tha shadid abr-o-baad thi wo zehn-o-dil ke darmiyan badan-zamin gharq thi lahu mein iztirab tha nazar ke qil-o-qal mein ye falsafe ki baat kya main sar-ba-sar sawal tha sarapa wo jawab tha ki gurg mein badal gae wo jitne mere yar the shaghaal jaan-nisar the ajib mera khwab tha ye zindagi 'nadim' ji tazad ki hai dastan ki matmah us ka aur tha jo mera intikhab tha